میں نے اس قرینے سے نعتِ شہ رقم کی ہے
شعربعد میں لکھا پہلے آنکھ نم کی ہے
Main ne is qareene se naat-e-sheh raqam ki hai
She'r ba'ad mein likha pehle aankh num ki hai
یہ خیال رہتا ہے یہ ملال رہتا ہے
مدحتِ نبی میں نے جتنی کی ہے کم کی ہے
Yeh khayal rehta hai yeh malaal rehta hai
Madhat-e-Nabi main ne jitni ki hai kam ki hai
میرے ساتھ چلتی ہیں برکتیں دُرودوں کی
میری راہ میں آئے ، کیا مجال غم کی ہے
Mere saath chalti hain barkatein duroodon ki
Meri raah mein aaye, kya majaal gham ki hai
اُن کو سوچتے رہنا بھی تو اک عبادت ہے
اور یہ عبادت بھی ہم نے دم بہ دم کی ہے
Un ko sochte rehna bhi to ek ibadat hai
Aur yeh ibadat bhi hum ne dam ba dam ki hai
میں غزل سے دُور آیا جب سے یہ شعور آیا
نعتِ مصطفی لکھنا آبرو قلم کی ہے
Main ghazal se door aaya jab se yeh sha'oor aaya
Naat-e-Mustafa likhna aabero qalam ki hai
اُں کو چاہنے سے میں چاہا جا رہا ہوں صبیح ؔ
بھیک میرے دامن میں اُن کے ہی کرم کی ہے
Un ko chahne se main chaha ja raha hoon Sabih
Bheek mere daaman mein un ke hi karam ki hai
Share This Naat
Share with friends and family
میں نے اس قرینے سے نعتِ شہ رقم کی ہے
سید صبیح الدین صبیح رحمانی