میں نے مانا کہ وہ میرا ہے تو سب کا بھی وہی
مجھ کو یہ ناز ‘ وہ سب کا ہے تو میرا بھی وہی
Main ne mana keh woh mera hai to sab ka bhi wohi
Mujh ko yeh naaz ' woh sab ka hai to mera bhi wohi
سر اُٹھاتا ہوں تو اَفلاک کو مَس کرتا ہے
کہ جو محبوبِ خدا ہے ‘ مرا اپنا بھی وہی
Sar uthata hoon to aflaq ko mas karta hai
Ke jo mehboob-e-Khuda hai ' mera apna bhi wohi
مِثل اُس کا ‘ کوئی آیا ہے ‘ نہ اب آئے گا
میرا ماضی بھی وہی ہے ‘ مرا فردا بھی وہی
Misl uska ' koi aya hai ' na ab aaye ga
Mera mazi bhi wohi hai ' mera farda bhi wohi
وہ مری عقل میں ہے ‘ وہ میرے وِجدان میں ہے
میری دنیا بھی وہی ہے ‘ مری عُقبیٰ بھی وہی
Woh meri aqal mein hai ' woh mere wijdan mein hai
Meri duniya bhi wohi hai ' meri uqba bhi wohi
اُس کے اَحکام بھی کلیوں سی چٹک رکھتے ہیں
میرا آقا بھی وہی ہے ‘ مرا پیارا بھی وہی
Us ke ahkam bhi kaliyon si chatak rakhte hain
Mera aaqa bhi wohi hai ' mera pyara bhi wohi
وہ جو برسا ‘ مری تشکیک کے صحراؤں پر
میرے وہموں کی شبِ تار میں چمکا بھی وہی
Woh jo barsa ' meri tashkeek ke sehraon par
Mere vehmon ki shab-e-tar mein chamka bhi wohi
کتنی صدیوں سے ہے وہ گنبد خضرا میں مکیں
اور ہر دور میں ‘ ہر سمت ‘ ہویدا بھی وہی
Kitni sadiyon se hai woh gumbad khizra mein makiin
Aur har dor mein ' har simt ' hoida bhi wohi
وہ بَشر ہے ‘ کہ یہی اُس کا ہے ارشاد ‘ مگر
اِس جہانِ بَشریّت میں ہے یکتا بھی وہی
Woh bashar hai ' ke yahi us ka hai arshad ' magar
Is jahan-e-bashriyat mein hai yakta bhi wohi
گرچہ پرکارِ مَشِیَّت کا وہی دائرہ ہے
لیکن اِس دائرے کا مرکزی نقطہ بھی وہی
Garche parkar-e-mashiyat ka wohi daira hai
Lekin is daire ka markazi nuqta bhi wohi
جس کے انصاف نے پتھر کو بھی بخشی ہے زباں
بے نواؤں کی نواؤں کو سنے گا بھی وہی
Jis ke insaf ne patthar ko bhi bakshe hai zuban
Be nawaon ki nawaon ko sunega bhi wohi
Share This Naat
Share with friends and family
میں نے مانا کہ وہ میرا ہے تو
احمد ندیم قاسمی