کرم کریم کا اچھے سمے میں رکھتا ہے
غلام زاد کو پیہم مزے میں رکھتا ہے
Karam Karim ka achay samay mein rakhta hai
Ghulam zaad ko peham maze mein rakhta hai
پکارتے ہیں ترے خواب نیند کی جانب
وفورِ عشق مجھے رتجگے میں رکھتا ہے
Pukarte hain tare khwab neend ki janib
Wafor e ishq mujhe ratjage mein rakhta hai
سوائے نعت کوئی بات سوجھتی ہی نہیں
جمالِ شاہ اسی دائرے میں رکھتا ہے
Siwaye naat koi baat soojhti hi nahi
Jamal e Shah isi daire mein rakhta hai
درونِ قلب مہکتا ہے مثلِ مشکِ ختن
خیالِ شاہ بڑے فائدے میں رکھتا ہے
Dron e qalb mehekta hai misl e mushk e khatan
Khayal e Shah baray faiday mein rakhta hai
خیال ورد کے لمحے رہا مواجہ کا
درودِ پاک مجھے رابطے میں رکھتا ہے
Khayal ward ke lamhe raha muwajha ka
Durood e pak mujhe rabtay mein rakhta hai
اسے شہانِ جہاں پر ہے فوقیت حاصل
جو ان کا طوقِ غلامی گلے میں رکھتا ہے
Usay shahan e jahan par hai foqiat hasil
Jo un ka toq e ghulami galay mein rakhta hai
وہی بناتا ہے اشفاق لفظ کو مدحت
جو میرے حرف کو اک ضابطے میں رکھتا ہے
Wohi banata hai ashfaq lafz ko mad-hat
Jo mere harf ko ik zaabte mein rakhta hai
Share This Naat
Share with friends and family
کرم کریم کا اچھے سمے میں رکھتا ہے
اشفاق احمد غوری