دشمنوں نے لاکھ کیں گستاخیاں سرکار کی
بد زبانی پر نہیں اُتری زباں سرکار کی
Dushmanon ne lakh keen gustaakhian Sarkar ki
Bad zabani par nahi utri zubaan Sarkar ki
ماہ وخور سرکار کے ہیں کہکشاں سرکار کی
ملکیت میں ہیں زمین و آسماں سرکار کی
Mah o khur Sarkar ke hain kehkashaan Sarkar ki
Malkiyat mein hain zameen o aasman Sarkar ki
عرش کو بھی ہوگئی معراج کی دولت نصیب
چوم کر اسریٰ کی شب میں ایڑیاں سر کار کی
Arsh ko bhi ho gayi meraaj ki dolat naseeb
Choom kar Asra ki shab mein eeriyan Sarkar ki
سائلو! تم ہی بتا دو ہے کہیں کوئی نظیر
کیا کبھی کھائیں کسی نے جھڑکیاں سرکار کی
Saailo! Tum hi bata do hai kahin koi nazeer
Kya kabhi khayein kisi ne jharkiyan Sarkar ki
مشکلوں میں گھِر کے رہ جاتی ہیں ساری مشکلیں
کرتی رہتی ہے ثنا میری زباں سرکار کی
Mushkilon mein ghir ke reh jaati hain saari mushkilain
Karti rahti hai sana meri zubaan Sarkar ki
وہ حرا کی وادیاں ہوں یا فضائے غارِ ثور
اب بھی خوشبو پائی جاتی ہے وہاں سرکار کی
Woh Hira ki wadiaan hon ya faza-e-Ghar-e-Saur
Ab bhi khushbu payi jaati hai wahan Sarkar ki
روئےانور کو لکھیں تو کیا لکھیں ہم جب شفیقؔ
چاند سے بڑھ کر ہیں روشن ایڑیاں سرکار کی
Ruye Anwar ko likhein to kya likhein hum jab Shafeeq
Chaand se barh kar hain roshan eeriyan Sarkar ki
Share This Naat
Share with friends and family
دشمنوں نے لاکھ کیں گستاخیاں سرکار کی
شفیق ؔ رائے پوری