بشر بھی ہے وہ اور خیر البشر بھی
جُھکاتا ہے سر جس کے آگے عمر بھی
Bashar bhi hai wo aur khair ul bashar bhi
Jhukata hai sar jis ke aage Umar bhi
ابو بکر و جبریلؑ ساتھی ہیں اُس کے
مِلے کیسے کیسے اُسے ہم سفر بھی
Abu Bakr o Jibraill saathi hain us ke
Mile kaise kaise usay hum safar bhi
فرشتوں سے بہتر ہیں اُس کی دعائیں
فرشتوں سے بہتر ہے اُس کی سحر بھی
Farishton se behtar hain us ki duaen
Farishton se behtar hai us ki seher bhi
دو عالم کی وسعت ہے قدموں کے نیچے
دو عالم پہ رہتی ہے اُس کی نظر بھی
Do 'alam ki wusat hai qadmom ke neeche
Do 'alam pe rehti hai us ki nazar bhi
اُترتا چلا جاتا ہے دِل کے اندر
کلام اُس کا میٹھا بھی ہے مختصر بھی
Utarta chala jata hai dil ke andar
Kalaam us ka meetha bhi hai mukhtasir bhi
ستاروں سے بڑھ کر حسیں شہر اُس کا
ستاروں سے چمکیلے ہیں بام و در بھی
Sitaaron se barh kar haseen shehar us ka
Sitaaron se chamkile hain baam o dar bhi
خدا کی قسم سارے ارض و سماء میں
نہیں ایسا مالک نہیں ایسا گھر بھی
Khuda ki qasam saaray Arz-o-samaa mein
Nahin aisa malik nahin aisa ghar bhi
بہت سیدھا سادہ ہے پیغام اُس کا
جو سچا بھی ہے اور ہے پُر اثر بھی
Bohat seedha saadah hai paighaam us ka
Jo sachha bhi hai aur hai pur asar bhi
تھکی ہاری اُمت کی خاطر ہی انجؔم
وہ خود ایک سایہ ہے خود اِک شجر بھی
Thaki haari ummat ki khatir hi Anjum
Wo khud aik saaya hai khud ik shajar bhi
Share This Naat
Share with friends and family
بشر بھی ہے وہ اور خیر البشر بھی
انجم نیازی