بس گئی ہے دل میں آقا کی محبت کی مہک
کر گئی جاں کو معطر اُن کی شفقت کی مہک
Bas gayee hai dil mein aaqa ki muhabbat ki mehak
Kar gayi jaan ko muattar un ki shafqat ki mehak
ہر گھڑی رہتی ہیں یہ پیاسی نگاہیں منتظر
کاش مل جائے کبھی اُن کی زیارت کی مہک
Har ghari rehti hain yeh pyasi nigahen muntazir
Kaash mil jaye kabhi un ki ziarat ki mehak
میرے لب پر ہیں ترانے آپ کی توصیف کے
اور سمائی ہے مری سانسوں میں مدحت کی مہک
Mere lab par hain tarane aap ki tauseef ke
Aur samaai hai meri saanson mein madhat ki mehak
جب سے آقا کی غلامی کی سعادت مِل گئی
دیتی ہے تسکین دل کو اُن کی نسبت کی مہک
Jab se aaqa ki ghulami ki sa'adat mil gayi
Deti hai taskeen dil ko un ki nisbat ki mehak
گلشنِ طیبہ کے غنچے، پھول کلیاں واہ واہ
ہے بہاروں کا سماں آتی ہے جنت کی مہک
Gulshan-e-Taiba ke ghunche, phool kaliyan wah wah
Hai baharon ka samaan aati hai jannat ki mehak
ذکرِ احمد سے ملی ہے میرے مَن کو روشنی
ہر طرف پھیلی ہوئی ہے اُن کی جلوت کی مہک
Zikr-e-Ahmed se mili hai mere man ko roshni
Har taraf phaili hui hai un ki jalwat ki mehak
مِٹ گئی ہیں دوریاں اَب زندگی پُر کیف ہے
مِل گئی ہے ناز کو آقا کی قربت کی مہک
Mit gayi hain dooriyan ab zindagi pur kaif hai
Mil gayi hai Naaz ko aaqa ki qurbat ki mehak
Share This Naat
Share with friends and family
بس گئی ہے دل میں آقا کی محبت کی مہک
صفیہ ناز