آپؐ کے پاس آنے کو جی چاہتا ہے
نُور میں ڈوب جانے کو جی چاہتا ہے
Aapؐ ke paas anay ko ji chahta hai
Noor mein doob janay ko ji chahta hai
یہ زمیں بھی حسیں ہے مگر اُس زمیں پر
جا کے واپس نہ آنے کو جی چاہتا ہے
Yeh zameen bhi haseen hai magar us zameen par
Ja ke wapas na anay ko ji chahta hai
پہلے بھولا ہوا تھا مجھے یہ زمانہ
اَب اسے بھول جانے کو جی چاہتا ہے
Pehle bhoola hua tha mujhe yeh zamana
Ab usay bhool janay ko ji chahta hai
آپؐ کا نام لیتا ہوں جَب میں تو اکثر
زیرِ لب مسکرانے کو جی چاہتا ہے
Aapؐ ka naam leta hoon jab mein to aksar
Zair-e lab muskurane ko ji chahta hai
آپؐ کے سامنے آپؐ کی انجمن میں
اپنی قیمت چُکانے کو جی چاہتا ہے
Aapؐ ke samnay aapؐ ki anjuman mein
Apni qeemat chukanay ko ji chahta hai
Share This Naat
Share with friends and family
آپؐ کے پاس آنے کو جی چاہتا ہے
انجم نیازی