وہ لا محدود ہے بیرون ہر منزل میں رہتا ہے
یہ دل بھی لا مکاں ہے اس لیے اس دل میں رہتا ہے
Woh la mahdood hai beroon har manzil mein rehta hai
Yeh dil bhi la makaan hai is liye is dil mein rehta hai
وہ خالق بھی زمانے کا زمانہ بھی ہے نام اس کا
وہ ہر ماضی میں ہر اک حال و مستقبل میں رہتا ہے
Woh khaliq bhi zamane ka zamana bhi hai naam us ka
Woh har mazi mein har ik haal o mustaqbil mein rehta hai
شکست و فتح آنسو قہقہے احکام ہیں اس کے
وہی لا حاصلی میں ہے وہی حاصل میں رہتا ہے
Shikast o fatah aansoo qahqahay ahkaam hain is ke
Wohi la haasili mein hai wohi haasil mein rehta hai
پہنچتا ہے وہی اس تک جو کرلے پار ذات اپنی
وہ رہنے کو تو ہر دریا میں ہر ساحل میں رہتا ہے
Pohanchta hai wohi is tak jo karle paar zaat apni
Woh rehne ko to har darya mein har saahil mein rehta hai
لگا لیتی ہے دانشمندیِ مومن سراغ اس کا
وہ اک حل کی طرح ہر عقدۂ مشکل میں رہتا ہے
Laga leti hai danishmandi-e-momin suraagh us ka
Woh ik hal ki tarah har uqda-e-mushkil mein rehta hai
مظفر ہم جب اس کے ذکر کی محفل سجاتے ہیں
چراغوں کی طرح وہ گرمیِ محفل میں رہتا ہے
Muzaffar hum jab us ke zikr ki mehfil sajate hain
Charaghon ki tarah woh garmi-e-mehfil mein rehta hai
Share This Naat
Share with friends and family
وہ لا محدود ہے بیرون ہر منزل میں رہتا ہے
مظفر وارثی