وہ جن کی یاد سے دل کا مکان روشن ہے
انھی سے میرے یقیں کا جہان روشن ہے
Woh jin ki yaad se dil ka makaan roshan hai
Inhi se mere yaqeen ka jahaan roshan hai
انھی کے نام سے رونق ہے بزمِ ہستی میں
انھی کے ذکر سے سارا جہاں روشن ہے
Inhi ke naam se ronaq hai bazm-e-hasti mein
Inhi ke zikr se saara jahaan roshan hai
کہیں بھی عَیب نہیں ہے ، کہیں بھی جھول نہیں
مِرے حضورؐ کا ہر اِک بیان روشن ہے
Kahin bhi aib nahi hai, kahin bhi jhool nahi
Mere Huzoor ﷺ ka har ik bayan roshan hai
انھی کا حُسن چمکتا ہے چاند تاروں میں
انھی کے نُور سے یہ آسمان روشن ہے
Inhi ka husn chamakta hai chaand taaron mein
Inhi ke noor se ye aasman roshan hai
جنہوں نے اُن کی محبت میں خود کو وار دیا
ہر اِک زمانے میں ان کا نشان روشن ہے
Jinhon ne un ki mohabbat mein khud ko waar diya
Har ik zamane mein un ka nishaan roshan hai
انھی کو مل گئی فیضیؔؔ رضائے ربانی
انھی کی یاد سے جن کا جہان روشن ہے
Inhi ko mil gayi Faizi ridaye Rabbani
Inhi ki yaad se jin ka jahaan roshan hai
Share This Naat
Share with friends and family
وہ جن کی یاد سے دل کا مکان روشن ہے
اسلم فیضی