نبی کو حالِ دل اپنا سنانا بھول جاتا ہوں
لبوں پر لفظ کی شمعیں جلانا بھول جاتا ہوں
Nabi ko hal-e-dil apna sunana bhool jata hoon
Labon par lafz ki shamay jalaana bhool jata hoon
Mujhe to hosh hi rehta nahi arz-e-tamanna ka
Main us dehleez par apna fasana bhool jata hoon
مجھے تو ہوش ہی رہتا نہیں عرضِ تمنّا کا
میں اُس دہلیز پر اپنا فسانہ بھول جاتا ہوں
Bohat hi na samajh ho ek ghar ki baat karte ho
Main un ke samnay sara zamana bhool jata hoon
بہت ہی نا سمجھ ہو ایک گھر کی بات کرتے ہو
میں اُن کے سامنے سارا زمانہ بھول جاتا ہوں
Nikal jata hoon jab main un ki khushbu ke ta'aqub mein
To phir main is jahaan mein laut aana bhool jata hoon
نکل جاتا ہوں جب میں اُن کی خوشبو کے تعاقب میں
تو پھر میں اِس جہاں میں لوٹ آنا بھول جاتا ہوں
Bhadak uthta hai jab shola kabhi un ki muhabbat ka
Main apne dil ke daaman ko bachana bhool jata hoon
بھڑک اُٹھتا ہے جب شعلہ کبھی اُن کی محبت کا
میں اپنے دل کے دامن کو بچانا بھول جاتا ہوں
Wahan kab hosh rehta hai bhala aansu bahanay ka
Wahan jatay hi main aansu bhana bhool jata hoon
وہاں کب ہوش رہتا ہے بھلا آنسو بہانے کا
وہاں جاتے ہی میں آنسو بہانا بھول جاتا ہوں
Mujhe kuch yaad hi rehta nahi fard-e-aqeedat mein
Main us mehfil mein sagar tak uthana bhool jata hoon
مجھے کچھ یاد ہی رہتا نہیں فرطِ عقیدت میں
میں اُس محفل میں ساغر تک اُٹھانا بھول جاتا ہوں
Main itna mahw ho jata hoon un ke shouq mein anjum
Basa auqat sar ko bhi jhukana bhool jata hoon
میں اتنا محو ہو جاتا ہوں ان کے شوق میں انجؔم
بسا اوقات سر کو بھی جھکانا بھول جاتا ہوں
Share This Naat
Share with friends and family
نبی کو حالِ دل اپنا سنانا بھول جاتا ہوں
انجم نیازی