مصطفیٰؐ کے کوچے میں نور کے بسیرے ہیں
صبح و شام روضے پر قدسیوں کے پھیرے ہیں
Mustafa (S.A.W) ke kooche mein nur ke basere hain
Subah o shaam roze par qadsiyon ke phere hain
ہر مقام روشن ہے صبح و شام روشن ہے
شش جہات طیبہ میں روشنی کے گھیرے ہیں
Har maqam roshan hai subah o shaam roshan hai
Shash jhaat Taybah mein roshni ke ghere hain
احتیاط سے چلنا دھیرے سے قدم رکھنا
ہر قدم پہ بطحا میں نوریوں کے ڈیرے ہیں
Ehtiyaat se chalna dheere se qadam rakhna
Har qadam pe Batha mein nooriyon ke dere hain
اس دیار میں دیکھوں کوئے یار میں دیکھوں
باقی زندگانی میں جس قدر سویرے ہیں
Is deyar mein dekhoon koe yaar mein dekhoon
Baaki zindagani mein jis qadar sawere hain
دُور اب تو ہر غم ہے یہ خوشی ہی کیا کم ہے
ہم غلام تیرےؐ تھے ہم غلام تیرےؐ ہیں
Duur ab to har gham hai ye khushi hi kya kam hai
Hum ghulaam tere (S.A.W) the hum ghulaam tere (S.A.W) hain
مال و زر نہیں رکھتا پھر بھی ڈر نہیں رکھتا
کیونکہ شاہِ بحر و بر مصطفیٰؐ تو میرے ہیں
Maal o zar nahi rakhta phir bhi dar nahi rakhta
Kyunke Shah-e-Bahr o Bar Mustafa (S.A.W) to mere hain
Share This Naat
Share with friends and family
مصطفیٰؐ کے کوچے میں نور کے بسیرے ہیں
اشفاق احمد غوری