Loading...
Hamad

مرا یہ ذہن بھی فکرِ رسا بھی تیری ہے

مرا یہ ذہن بھی فکرِ رسا بھی تیری ہے اور اس کی روشنی پُر ضیا بھی تیری ہے
Mara yeh zehan bhi fikr-e rasa bhi teri hai aur is ki roshni pur zia bhi teri hai
ہیں بے شمار ستارے سجے ہوئے اس میں یہ آسمان کی نیلی رِدا بھی تیری ہے
Hain be shumar sitare saje huye is mein yeh aasmaan ki neeli rida bhi teri hai
بھٹک رہا تھا اندھیروں میں آدمی ، یارب ترے نبیﷺ نے جو بخشی ضیاء بھی تیری ہے
Bhatak raha tha andheron mein aadmi, Yarab tere nabi ﷺ ne jo bakshee zia bhi teri hai
ترے حبیب پہ بھیجیں درود کے تحفے یہ حکم بھی ہے ترا اور رضا بھی تیری ہے
Tere Habib pe bhejein darood ke tuhfe yeh hukm bhi hai tera aur raza bhi teri hai
یہ پھول کلیاں یہ بھنورے یہ گلستاں تیرے یہ دھوپ چھائوں پہ مہکی فضا بھی تیری ہے
Yeh phool kaliyan yeh bhanwray yeh gulistan tere yeh dhoop chaon pe mehki fizaa bhi teri hai
یتیموں اور غریبوں کی تُو ہی سنتا ہے جو ان کے لب پہ ہے یارب دعا بھی تیری ہے
Yateemon aur gareebon ki tu hi sunta hai jo un ke lab pe hai Yarab dua bhi teri hai
سوا ہے تیری محبت ہر ایک بندے سے کتاب بھی ہے تری اور صدا بھی تیری ہے
Sawa hai teri mohabbat har aik bande se kitaab bhi hai teri aur sada bhi teri hai
جو لاعلاج مریض اس جہاں میں ہیں ان کو ہے تیرا نام ہی کافی دوا بھی تیری ہے
Jo lailaj mareez is jahaan mein hain un ko hai tera naam hi kaafi dawa bhi teri hai

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

مرا یہ ذہن بھی فکرِ رسا بھی تیری ہے

طاہر سلطانی