لبوں پہ جس کے مُحمدّؐ کا نام رہتا ہے
وہ راہِ خُلد پہ محوِ خرام رہتا ہے
Labon pe jis ke Muhammadؐ ka naam rehta hai
Woh raah-e-khuld pe mawh-e-kharaam rehta hai
جو سَر جُھکائے مُحمدّؐ کے آستانے پر
زمانہ اس کا ہمیشہ غلام رہتا ہے
Jo sar jhukae Muhammadؐ ke aastane par
Zamana us ka hamesha ghulaam rehta hai
ہمیں نہ چھیڑ کہ وارفتگانِ بطحا ہیں
ہمیں تو شوقِ مدینہ مدام رہتا ہے
Humen na chher ke waariftagan-e-Bat'ha hain
Humen to shauq-e-Madina madam rehta hai
وہ دو جہاں کے اَمیں ہیں انہی کے ہاتھوں میں
سپرد کون و مکاں کا نظام رہتا ہے
Woh do jahan ke amin hain inhi ke hathon mein
Supurd kon o makaan ka nizaam rehta hai
جو غمگسار ہے نادار اور غریبوں کا
وہ قُدسیوں میں بھی عالی مقام رہتا ہے
Jo gham-gusaar hai nadaar aur ghareebon ka
Woh qudsiyon mein bhi aali maqaam rehta hai
لگن ہے آلِ مدینہ کی جس کے سینے میں
وہ زندگی میں بہت شاد کام رہتا ہے
Lagan hai aal-e-Madina ki jis ke seenay mein
Woh zindagi mein bohot shad kaam rehta hai
ہمیں ضرورتِ آبِ بقا نہیں ساغرؔ
ہمارے سامنے کوثر کا جام رہتا ہے
Humen zarurat-e-aab-e-baqa nahi Saagarؔ
Hamare samne kausar ka jaam rehta hai
Share This Naat
Share with friends and family
لبوں پہ جس کے مُحمدّؐ کا نام رہتا ہے
ساغر صدیقی