جیسے میرے آقا ہیں کوئی اور نہیں ہے
نبیوں کے وہ مولیٰ ہیں کوئی اور نہیں ہے
Jaise mere aaqa hain koi aur nahi hai
Nabiyon ke woh maula hain koi aur nahi hai
گنتی میں رسولوں کی وہی اول و آخر
اوصاف ہمایوں میں وہی طیب و طاہر
Ginti mein rusulon ki wohi awwal o aakhir
Awsaf humayun mein wohi tayyib o tahir
اللہ کی عطا سے ہیں وہی باطن و ظاہر
ہر دل کی تمنا ہیں کوئی اور نہیں ہے
Allah ki ata se hain wohi baatin o zaahir
Har dil ki tamanna hain koi aur nahi hai
دنیاؤں میں یکتا ہیں کوئی اور نہیں ہے
رب نے انھیں بخشے ہیں علوم ہر دو جہاں کے
Duniyawon mein yakta hain koi aur nahi hai
Rab ne unhein bakhshe hain ulum har do jahan ke
فاتح ہیں وہی حشر کے دن باب جناں کے
مختار ہیں دنیا کے ہر ایک سود و زیاں کے
Fateh hain wohi hashr ke din bab janaa ke
Mukhtar hain duniya ke har aik soud o ziyan ke
ملجا ہیں وہ ماویٰ ہیں کوئی اور نہیں ہے
جگ والوں کے داتا ہیں کوئی اور نہیں ہے
Malja hain woh maawa hain koi aur nahi hai
Jag walon ke data hain koi aur nahi hai
جو چاہے کہ جنت لے تو جنت اسے دے دیں
اور ساتھ میں رہنے کی اجازت اسے دے دیں
Jo chahe ke jannat le to jannat use de dein
Aur sath mein rehne ki ijaazat use de dein
بیمار علی آئے تو ہمت اسے دے دیں
ایسے وہ مسیحا ہیں کوئی اور نہیں ہے
Bimar Ali aaye to himmat use de dein
Aise woh masiha hain koi aur nahi hai
کائنات کے راجا ہیں کوئی اور نہیں ہے
یہ قصہ تو لمبا ہے کبھی ختم نہ ہوگا
Kainaat ke raja hain koi aur nahi hai
Yeh qissa to lamba hai kabhi khatam na hoga
اللہ نے اونچا نہ کیا ذکر کسی کا
بس اپنے ہی محبوب کو رتبہ دیا اعلیٰ
Allah ne ooncha na kiya zikar kisi ka
Bas apne hi mahboob ko rutba diya aala
طیبہ کے وہ دولہا ہیں کوئی اور نہیں ہے
نظمی کے وہ ملجا ہیں کوئی اور نہیں ہے
Tayba ke woh dulha hain koi aur nahi hai
Nazmi ke woh malja hain koi aur nahi hai
Share This Naat
Share with friends and family
جیسے میرے آقا ہیں کوئی اور نہیں ہے
سید آل رسول حسنین میاں برکاتی نظمی