اپنی اطاعت اپنی محبت مجھے بھی دو
در پر پڑھوں سلام اجازت مجھے بھی دو
Apni itaat apni mohabbat mujhe bhi do
Dar par parhun salam ijaazat mujhe bhi do
آنکھوں سے اپنی دیکھوں بہاروں کی سرزمیں
ایسا نصیب، ایسی سعادت مجھے بھی دو
Aankhon se apni dekhun baharon ki sarzamin
Aisa naseeb, aisi sa'adat mujhe bhi do
میری جبیں پہ آپ کے کوچے کی خاک ہو
یہ مرتبہ، یہ شان، یہ شوکت مجھے بھی دو
Meri jabeen pe aap ke kooche ki khaak ho
Ye martaba, ye shaan, ye shaukat mujhe bhi do
طیبہ کی وادیوں کی گدائی عطا کرو
جس کو نہیں زوال وہ دولت مجھے بھی دو
Taybah ki wadiyon ki gadayi ata karo
Jis ko nahi zawal woh daulat mujhe bhi do
طیبہ نگر ہو اور مرے پا برہنہ ہوں
یہ فخر، یہ غرور، یہ عزت مجھے بھی دو
Taybah nagar ho aur mere paa barahana hon
Ye fakhar, ye ghuroor, ye izzat mujhe bhi do
Share This Naat
Share with friends and family
اپنی اطاعت اپنی محبت مجھے بھی دو
اختر لکھنوی