آپ کا جو غلام ہوتا ہے
لائقِ احترام ہوتا ہے
Aap ka jo ghulaam hota hai
Laiq-e-ehtraam hota hai
جھومتی ہے فضائے ارض و سما
ذکرِ خیر الانامؐ ہوتا ہے
Jhoomti hai faza-e-arz o sama
Zikr-e-khair-ul-anaam ﷺ hota hai
سرورِ انبیاءؐ کی یاد آئی
لب پہ جاری سلام ہوتا ہے
Sarwar-e-Ambiyaa ﷺ ki yaad aayi
Lab pe jari salaam hota hai
میکش مصطفےٰؐ کے ہاتھوں میں
حوضِ کوثر کا جام ہوتا ہے
Maikash Mustafa ﷺ ke haathon mein
Hauz-e-Kausar ka jaam hota hai
درحقیقت نماز ہے ان کی
عشق جن کا امام ہوتا ہے
Darhaqiqat namaz hai in ki
Ishq jin ka Imam hota hai
وہ ظہوریؔ جسے قبول کریں
وہ ہی مقبول عام ہوتا ہے
Woh Zahooriؔ jise qubool karein
Woh hi maqbool aam hota hai
Share This Naat
Share with friends and family
آپ کا جو غلام ہوتا ہے
محمد علی ظہوری