زمین کے ہوں کہ باشندے آسماں والے
نبی کے نور کا صدقہ ہے دوجہاں والے
Zameen ke hon ke bashinday aasmaan walay
Nabi ke noor ka sadqa hai do jahan walay
پکڑ لو دامنِ آلِ نبی، ہمارے لیے
حضور چھوڑ گئے ہیں یہاں جناں والے
Pakarr lo daman-e-aal-e-Nabi, hamaray liye
Huzoor chorr gaye hain yahan janaan walay
ہمارے دل کی جبیں پر ہے داغِ عشقِ نبی
کہ ہم نہیں ہیں جبیں پر فقط نشاں والے
Hamaray dil ki jabeen par hai daagh-e-ishq-e-Nabi
Ke hum nahi hain jabeen par faqat nishaan walay
خدا کے فضل سے آقا ہیں قاسمِ نعمت
درِ حضور سے پاتے ہیں سب جہاں والے
Khuda ke fazl se aaqa hain qasim-e-nemat
Dar-e-huzoor se paate hain sab jahan walay
نبی کے عشق میں مر کر بھی لوگ زندہ ہیں
بہت سے آئے گئے جھوٹی داستاں والے
Nabi ke ishq mein mar kar bhi log zinda hain
Bohat se aaye gaye jhooti daastan walay
اُسی زمین پہ کرتا ہے آسماں بھی رشک
جہاں زمین میں ہیں سیرِ لامکاں والے
Usi zameen pe karta hai aasman bhi rashk
Jahan zameen mein hain sair-e-la-makaan walay
نبی کے عشق سے مطلب نہیں تو کیا مطلب
نماز والے وہ ہوں یا کہ پھر اذاں والے
Nabi ke ishq se matlab nahi to kya matlab
Namaz walay woh hon ya ke phir azaan walay
زمیں سے تا بہ فلک نور کی بہاریں تھیں
تھے لا مکاں کی سیاحت میں جب مکاں والے
Zameen se taa ba falak noor ki bahaarain theen
The la makaan ki siyahat mein jab makaan walay
نبی کی نعت فصاحت کے ساتھ کہتے ہو
شفیقؔ تم بھی ہو کیا داغؔ کی زباں والے
Nabi ki naat fasahat ke saath kehtay ho
Shafiq tum bhi ho kya Daagh ki zabaan walay
Share This Naat
Share with friends and family
زمین کے ہوں کہ باشندے آسماں والے
شفیق ؔ رائے پوری