وہ لا محدود ہے بیرون ہر منزل میں رہتا ہے
یہ دل بھی لامکاں ہے اس لیے اس دل میں رہتا ہے
Woh la mehdood hai bairon har manzil mein rehta hai
Yeh dil bhi la-makaan hai is liye is dil mein rehta hai
وہ خالق بھی زمانے کا زمانہ بھی ہے نام اس کا
وہ ہر ماضی میں ہر اک حال و مستقبل میں رہتا ہے
Woh khalik bhi zamane ka zamana bhi hai naam us ka
Woh har mazi mein har ik haal o mustaqbil mein rehta hai
شکست و فتح آنسو قہقہے ٗ احکام ہیں اس کے
وہی لا حاصلی میں ہے وہی حاصل میں رہتا ہے
Shikast o fatah aansoo qahqahay, ehkaam hain us ke
Wohi la hasil mein hai wohi hasil mein rehta hai
پہنچتا ہے وہی اس تک ، جو کر لے پار ذات اپنی
وہ رہنے کو تو ہر دریا میں ہر ساحل میں رہتا ہے
Pohanchta hai wahi us tak, jo kar le paar zaat apni
Woh rehne ko to har darya mein har saehal mein rehta hai
لگا لیتی ہے دانشمندیِ مومن سراغ اس کا
وہ اک حل کی طرح ہر عقدہء مشکل میں رہتا ہے
Laga leti hai danishmandi-e-momin suragh us ka
Woh ik hal ki tarah har uqda-e-mushkil mein rehta hai
مظفر ہم جب اس کے ذکر کی محفل سجاتے ہیں
چراغوں کی طرح وہ گرمیِ محفل میں رہتا ہے
Muzaffar hum jab us ke zikr ki mehfil sajate hain
Chiraghon ki tarah woh garmi-e-mehfil mein rehta hai
Share This Naat
Share with friends and family
وہ لا محدود ہے بیرون ہر
مظفر وارثی