Loading...
Hamad

نہیں ہے کوئی بھی اللہ کے سوا موجود

نہیں ہے کوئی بھی اللہ کے سوا موجود یہ کار خانہ عالم اُسی سے قائم ہے
Nahi hai koi bhi Allah ke siwa maujood Yeh kaar khana-e-aalam usi se qaim hai
نہ اونگھتا ہے نہ کچھ نیند اس کو آتی ہے جو آسمان و زمیں میں ہے سب اُسی کا ہے
Na oonghta hai na kuch neend us ko aati hai Jo aasman o zameen mein hai sab usi ka hai
وہ کون ہے جو کرے بارگاہ میں اُسکی بغیر اِذن کسی کی سفارش و تائید
Woh kaun hai jo kare baargaah mein uski Baghair izn kisi ki sifarish o taeed
ہر ایک لمحہ جو پیش آرہا ہے لوگوں کو اور اُن کے بعد جو پیش آئے گا وہ جانتا ہے
Har aik lamha jo paish aa raha hai logon ko Aur un ke baad jo paish aaye ga woh jaanta hai
احاطہ علم کا اس کے کسی کے بس کا نہیں سوائے اس کے کہ وہ آپ جس قدر چاہے
Ihata-e-ilm ka is ke kisi ke bus ka nahi Siwaye is ke ke woh aap jis qadar chahe
اور اُسی کرسی کہ ارض و سما پہ حاوی ہے حفاظت اس کی تھکاتی نہیں کبھی اس کو
Aur usi kursi ke arz o sama pe haawi hai Hifazat is ki thakati nahi kabhi us ko
وہ عالی شان ہے سب عظمتوں کا وارث ہے
Woh aali shaan hai sab azmaton ka waaris hai

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

نہیں ہے کوئی بھی اللہ کے سوا موجود

مظفر وارثی