تاثیر اسی در سے ہی پاتی ہے مری لے
’’مدحت کا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے‘‘
Taseer is dar se hi paati hai meri le
’’Mad'hat ka qareena bhi is dar ki aata hai‘‘
حبِ شہِؐ والا کے لبوں پر ہیں ترانے
شاعر کی زباں کو ہے محبت کی ملی نے
Hub-e-Shaheؐ wala ke labon par hain taraney
Sha'ir ki zubaan ko hai mohabbat ki mili ne
عظمت کا احاطہ ہو کسی طور بھی کیسے
آقاؐ کے مقابل ہے بھلا عرش بھی کیا شے
Azmat ka ehaata ho kisi taur bhi kaise
Aqaؐ ke muqaabil hai bhala arsh bhi kya shay
دنیا کو وہ خاطر میں نہیں لاتا کہ جس نے
سرکارِؐ دو عالم کی محبت کی چکھی مے
Duniya ko wo khaatir mein nahi lata ke jis ne
Sarkar-eؐ do aalam ki mohabbat ki chakhi me
بس میں ہے کہاں کلکِ ثنا کے تری مدحت
مرقوم ہوئے نعت کے اشعار فقط چھے
Bas mein hai kahan kulk-e-sana ke teri mad'hat
Marqoom hue naat ke ashaar faqat chhe
طاہرؐ تری کاوش تری نسبت کی ہے عکاس
فیضانِ ابوبکرؓ سے ہر بات بھلی ہے
Tahirؐ teri kaawish teri nisbat ki hai akkas
Faizan-e-Abu Bakrؓ se har baat bhali hai
Share This Naat
Share with friends and family
تاثیر اسی در سے ہی پاتی ہے مری لے
پروفیسر محمد طاہر صدیقی