شب غم میں سحر بیدار کر دیں
کرم کی اِک نظر سرکار کر دیں
Shab-e-gham mein sehar bedar kar dein
Karam ki ik nazar Sarkar kar dein
رواں ہیں کشتیاں سوئے مدینہ
بھنور سے میرا بیڑا پار کردیں
Rawan hain kashtiyan sooye Madina
Bhawar se mera berra paar kar dein
حصارِ جاں نوازی میں بُلا لیں
مقدر سایہء دیوار کر دیں
Hisar-e-jaan nawazi mein bula lein
Muqaddar saayah-e-deewar kar dein
رہیں میرے افق پر چاند بن کر
منوّر عالمِ افکار کر دیں
Rahain mere ufaq par chaand ban kar
Munawwar aalam-e-afkaar kar dein
زیاں کے اس مسافر کو بھی آقا
صراطِ خیر کا رہوار کر دیں
Ziyaan ke is musafir ko bhi Aaqa
Siraat-e-khair ka rahwaar kar dein
جہانِ مصلحت کوشاں میں ہوں میں
صداقت کو مرا معیار کر دیں
Jahaan-e-maslehat kosh haan mein hoon mein
Sadaqat ko mera miyaar kar dein
مرے آقا، صبیح ؔ بے ہنر کو
عطا کچھ نعتیہ اشعار کردیں
Mere Aaqa, Sabeeh be-hunar ko
Ata kuch naatiya ash'ar kar dein
Share This Naat
Share with friends and family
شب غم میں سحر بیدار کر دیں
سید صبیح الدین صبیح رحمانی