Loading...
naat

لب پر نعتِ پاک کا نغمہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے

لب پر نعتِ پاک کا نغمہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے میرے نبی سے میرا رشتہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Lab par naat-e-paak ka naghma kal bhi tha aur aaj bhi hai Mere nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai
پست وہ کیسے ہو سکتا ہے جس کو حق نے بلند کیا دونوں جہاں میں اُن کا چرچا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Past wo kaise ho sakta hai jis ko haq ne buland kiya Dono jahan mein un ka charcha kal bhi tha aur aaj bhi hai
اور کسی جانب کیوں جائیں اور کسی کو کیوں دیکھیں اپنا سب کچھ گنبدِ خضرا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Aur kisi janib kyu jaayen aur kisi ko kyu dekhen Apna sab kuch gunbad-e-khazra kal bhi tha aur aaj bhi hai
فکر نہیں ہے ہم کو کچھ بھی دُکھ کی دھوپ کڑی تو کیا ہم پر ان کے فضل کا سایہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Fikr nahi hai hum ko kuch bhi dukh ki dhoop kadi to kya Hum par un ke fazl ka saaya kal bhi tha aur aaj bhi hai
اُن کے کرم کی خوشبو سے ہے کیسا مری قسمت کا گلاب شاخِ چمن پر مہکا مہکا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Un ke karam ki khushbu se hai kaisa meri qismat ka gulaab Shakh-e-chaman par mehka mehka kal bhi tha aur aaj bhi hai
طے کرتے ہیں نام سے ان کے دشتِ حیات کی ہر منزل راہِ زیست میں ان کا سہارا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Tay karte hain naam se un ke dasht-e-hayat ki har manzil Raah-e-zeest mein un ka sahara kal bhi tha aur aaj bhi hai
بتلا دو گستاخِ نبی کو غیرتِ مسلم زندہ ہے ان پر مر مٹنے کا جذبہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Bata do gustakh-e-nabi ko gairat-e-muslim zinda hai Un par mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai
جس کے فیض سے بنجر سینوں نے شادابی پائی ہے موج میں وہ رحمت کا دریا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Jis ke faiz se banjar seenon ne shaadabi paayi hai Mauj mein wo rehmat ka darya kal bhi tha aur aaj bhi hai
زادِ سفر کی فکر میں گم تھا عشق نے مجھ کو بتلا یا دل سے مدینے کا اِک رستہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Zaad-e-safar ki fikr mein gum tha ishq ne mujh ko batla ya Dil se madine ka ik rasta kal bhi tha aur aaj bhi hai
جن آنکھوں سے طیبہ دیکھا وہ آنکھیں بے تاب ہیں پھر ان آنکھوں میں ایک تقاضا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Jin aankhon se tayyaba dekha wo aankhen be-tab hain phir Un aankhon mein ek taqaza kal bhi tha aur aaj bhi hai
ان کے در سے سب ہو آئے جا نہ سکا تو ایک صبیحؔ یہ کہ اک تصویرِ تمنّا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
Un ke dar se sab ho aaye ja na saka to ek Sabih Ye keh ek tasveer-e-tamanna kal bhi tha aur aaj bhi hai

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

لب پر نعتِ پاک کا نغمہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے

سید صبیح الدین صبیح رحمانی