naat
خواب نے مجھ کو مدینے کے نگر میں رکھا
خواب نے مجھ کو مدینے کے نگر میں رکھا
رات نے گویا مجھے نورِ سحر میں رکھا
Khawab ne mujhe madine ke nagar mein rakha
Raat ne goya mujhe noor-e-sehar mein rakha
منزلِ قربِ شہنشاہِ مدینہ کے لئے
خود کو بچپن سے ہی سامانِ سفر میں رکھا
Manzil-e-qurb-e-shahenshah-e-madina ke liye
Khud ko bachpan se hi samaan-e-safar mein rakha
دعویِ ہمسرئ عرش نہیں ہے لیکن
میں نے بھی دل کو تری راھگزر میں رکھا
Da'wa-e-hamsar-e-arsh nahi hai lekin
Maine bhi dil ko teri rahguzar mein rakha
تلخئِ حشر میں خالق نے بھی احساسِ سکوں
ساقئِ چشمہِ کوثر کی نظر میں رکھا
Talkhi-e-hashr mein khaliq ne bhi ehsaas-e-sukoon
Saqi-e-chashma-e-kausar ki nazar mein rakha
نسلِ آدم کو ملاقات کے گُر آنے تک
رب نے بھی یار کو تصویرِ بشر میں رکھا
Nasal-e-adam ko mulaqat ke gur aane tak
Rab ne bhi yaar ko tasweer-e-bashar mein rakha
ہاتھ اٹھانے کا کہا کھول کے دہلیزِ عطا
اپنے منگتے کو اگر میں نہ مگر میں رکھا
Haath uthane ka kaha khol ke dehleez-e-ata
Apne mangte ko agar mein na magar mein rakha
حسنِ جنت کو بھی ہے اُس کی زیارت کی طلب
جانے اللّٰہ نے کیا یار کے در میں رکھا
Husn-e-jannat ko bhi hai us ki ziarat ki talab
Jane Allah ne kya yaar ke dar mein rakha
Share This Naat
Share with friends and family
خواب نے مجھ کو مدینے کے نگر میں رکھا
حافظ محمد ابوبکر تبسمؔ