Loading...
naat

خدا گواہ کبھی محترم نہیں ہوتا

خدا گواہ کبھی محترم نہیں ہوتا وہ دل کہ جس پہ وہ نقشِ قدم نہیں ہوتا
Khuda gawah kabhi mohtaram nahi hota Woh dil ke jis pe woh naqshe qadam nahi hota
زہے نصیب کہ مجھ پہ نظر ہے آقاؐ کی ہر ایک قلب تو شایانِ غم نہیں ہوتا
Zahe naseeb ke mujh pe nazar hai Aqa (SAW) ki Har aik qalb to shayan-e-gham nahi hota
درِ حضورؐ پہ گریہ ہی کام آتا ہے زباں کو حوصلۂ عرضِ غم نہیں ہوتا
Dar-e-Huzoor (SAW) pe gerya hi kaam aata hai Zubaan ko hosla-e-arz-e-gham nahi hota
جو دِل دیا ہے تو اُنؐ کی طلب بھی دے یا رب طلب نہ ہو تو کرم بھی کرم نہیں ہوتا
Jo dil diya hai to un (SAW) ki talab bhi de ya Rab Talab na ho to karam bhi karam nahi hota
وہ در عجیب ہے اس در سے جو بھی ملتا ہے کسی کی وسعتِ داماں سے کم نہیں ہوتا
Woh dar ajeeb hai is dar se jo bhi milta hai Kisi ki wusat-e-damaan se kam nahi hota
مرے حُضورؐ کا مسجُود ہے مرا مسجُود سرِ نیاز کہیں اور خم نہیں ہوتا
Mere Huzoor (SAW) ka masjood hai mera masjood Sar-e-niyaz kahin aur khum nahi hota
وہ نام سینہ بہ سینہ سفر میں ہے اب بھی یہ فیض وہ ہے جو بخشش سے کم نہیں ہوتا
Woh naam seena bah seena safar mein hai ab bhi Yeh faiz woh hai jo bakhshish se kam nahi hota
حنیفؔ اُنؐ کے غلاموں کو ناز ہے اُنؐ پر غلام ایسا کہیں محترم نہیں ہوتا
Hanif (RA) un (SAW) ke ghulamon ko naaz hai un (SAW) par Ghulam aisa kahin mohtaram nahi hota

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

خدا گواہ کبھی محترم نہیں ہوتا

حنیف اسعدی