Loading...
naat

جو پایا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے

جو پایا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے ’’مدحت کا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے‘‘
Jo paaya qareena bhi isi dar ki ata hai "Mad'hat ka qareena bhi isi dar ki ata hai"
ہر شعر مرا حمد و ثنا کا ہے مرقع یہ طرفہ قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے
Har sher mera hamd o sana ka hai muraqqa Yeh tarfah qareena bhi isi dar ki ata hai
ہیں نیّر و اختر مرے قرطاسِ ثنا پر تابندہ قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے
Hain nayyar o akhtar mare qartaas-e-sana par Taabinda qareena bhi isi dar ki ata hai
جبریلؐ بھی آداب بجا لاتے ہیں اس کے یہ اعلیٰ قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے
Jibreel bhi aadaab baja laate hain is ke Yeh aala qareena bhi isi dar ki ata hai
جس لہجے قرینے سے ہے حسّانؓ کی شہرت وہ لہجہ قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے
Jis lehje qareene se hai Hassaan ki shohrat Woh lehja qareena bhi isi dar ki ata hai
کستوری جو نافے میں ہے آہو کے مہکتی خوشبو کا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے
Kastoori jo naafay mein hai aahu ke mehak'ti Khushboo ka qareena bhi isi dar ki ata hai
طاہرؔ کا سخن انؐ کی عنایت سے ہے طاہر پاکیزہ قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے
Taahir ka sakhan un ki inayat se hai taahir Paakiza qareena bhi isi dar ki ata hai

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

جو پایا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے

پروفیسر محمد طاہر صدیقی