Loading...
naat

ہمیں نسبت ہے آقا سے یہ نسبت ہم کو کافی ہے

ہمیں نسبت ہے آقا سے یہ نسبت ہم کو کافی ہے محبت ہی محبت ہے معافی ہی معافی ہے
Hamen nisbat hai aaqa se ye nisbat hum ko kaafi hai Mohabbat hi mohabbat hai maafi hi maafi hai
ہماری زندگانی بٹ گئی ہے دو قبیلوں میں نظر آوارۂ اسباب ہے دل اعتکافی ہے
Hamari zindagani bat gayi hai do qabilon mein Nazar aawarh-e-asbab hai dil eitkafi hai
ہم ان سے پیار بھی کرتے ہیں دنیا پر بھی مرتے ہیں زباں اقرار نامہ ہے عمل وعدہ خلافی ہے
Hum un se pyar bhi karte hain duniya par bhi marte hain Zabaan iqrar nama hai amal wadah khilafi hai
معالج کوئی اپنا اُن سے بڑھ کر ہو نہیں سکتا نظر ان کی مسیحا ہے توجہ ان کی شافی ہے
Mualij koi apna un se barh kar ho nahi sakta Nazar un ki maseeha hai tawajjo un ki shafi hai
سجائیں زندگی اپنی درودوں سے سلاموں سے یہی ظاہر کا صافہ ہے یہی باطن کی صافی ہے
Sajayen zindagi apni duroodon se salaamon se Yehi zaahir ka saafah hai yehi baatin ki saafi hai
غزل میں بھی مظفر وارثی حق بات کرتے ہیں مگر پھر بھی ہماری نعت غزلوں کی تلافی ہے
Ghazal mein bhi Muzaffar Warisi haq baat karte hain Magar phir bhi hamari naat ghazalon ki talaafi hai

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

ہمیں نسبت ہے آقا سے یہ نسبت ہم کو کافی ہے

مظفر وارثی