دُور ہُوں اُن سے ، سزا ہے یہ بھی
پاس ٹھہروں تو خطا ہے یہ بھی
Door hoon un se, saza hai ye bhi
Paas thehroon to khata hai ye bhi
اہلِ نسبت کو وہ پہچانتے ہیں
میرے مولا کی عطا ہے یہ بھی
Ahl-e-nisbat ko wo pehchante hain
Mere Maula ki ata hai ye bhi
اور کیا نکہتِ فردوسِ بریں
بس مدینے کی ہَوا ہے یہ بھی
Aur kya nighat-e-firdous-e-bareen
Bas Madine ki hawa hai ye bhi
اُن کا جلوہ نظر اآجائے گا
حشر میں ایک مزا ہے یہ بھی
Un ka jalwa nazar aa jaaye ga
Hashar mein aik maza hai ye bhi
ایک دُنیا مجھے پہچانتی ہے
نعت گوئی کا صِلا ہے یہ بھی
Ek duniya mujhe pehchanti hai
Naat goyi ka sila hai ye bhi
وہ مِرے دل ہی نہیں، جان بھی ہیں
مَیں نے محسوس کیا ہے یہ بھی
Wo mere dil hi nahi, jaan bhi hain
Main ne mehsoos kiya hai ye bhi
غم تو ہے عشقِ نبی ؐمیں حاصل
شکر کر! شکر کی جا ہے یہ بھی
Gham to hai ishq-e-Nabi (SAW) mein hasil
Shukar kar! shukar ki ja hai ye bhi
ہوش کھو بیٹھے نصیرؔ اہلِ نظر
دیکھ لینے کی ادا ہے یہ بھی
Hosh kho baithe Naseer ahl-e-nazar
Dekh lene ki ada hai ye bhi
Share This Naat
Share with friends and family
دُور ہُوں اُن سے ، سزا ہے یہ بھی
سید نصیرالدیں نصیر