Loading...
naat

بلند میرے نبی سے ہے

بلند میرے نبی سے ہے بس خدا کا مقام خدا کے بعد جہاں میں ہے مصطفےٰ کا مقام
Buland mere Nabi se hai bas Khuda ka maqam Khuda ke baad jahan mein hai Mustafa ka maqam
نہ آ سکے گا کبھی حیطۂ خیال میں وہ گمانِ خلق سے ارفع ہے مصطفےٰ کا مقام
Na aa sake ga kabhi haitah e khayal mein woh Guman e khalq se arfa hai Mustafa ka maqam
حضورِ حق میں وہ ہوتی نہیں ہے رد ہر گز درود پاک سے بڑھتا ہے یوں دعا کا مقام
Huzoor e Haq mein woh hoti nahi hai rad har giz Darood e Pak se barhta hai yun dua ka maqam
فلک نشین فرشتے حیا کریں ان سے بلند اتنا ہے عثمان کی حیا کا مقام
Falak nasheen farishte haya karein un se Buland itna hai Usman ki haya ka maqam
حسین مجھ سے ہیں اور میں حسین سے دیکھو اسی میں رکھا گیا ابنِ مرتضیٰ کا مقام
Hussain mujh se hain aur main Hussain se dekho Isi mein rakha gaya Ibn e Murtaza ka maqam
ہے انبیا و رسل کا مقام بھی ارفع مگر جو شاہ نے پایا ہے وہ دنٰی کا مقام
Hai Anbia o Rasool ka maqam bhi arfa Magar jo Shah ne paaya hai woh Duni ka maqam
شہان وقت بھی آتے ہیں یاں گدا بن کر ہے دو جہان میں اونچا ترے گدا کا مقام
Shahaan waqt bhe aate hain yan gada ban kar Hai do jahan mein ooncha tere gada ka maqam
کھڑے ہوں صف میں جہاں مقتدی نبی سارے خدا ہی جانتا ہے ایسے مقتدا کا مقام
Kharein hon saf mein jahan muqtadi Nabi saare Khuda hi jaanta hai aise muqtada ka maqam
درِ رسول سے جس کو ملی رضا کی سند جلیل اس کے مقدر میں ہے رضا کا مقام
Dar e Rasool se jis ko mili raza ki sanad Jaleel us ke muqaddar mein hai Raza ka maqam

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

بلند میرے نبی سے ہے

حافظ عبدالجلیل