بعدِ رَمضان عید ہوتی ہے
رب کی رَحمت مزید ہوتی ہے
Ba'd Ramadan Eid hoti hai
Rab ki Rehmat mazeed hoti hai
جس کو آقا کی دید ہوتی ہے
اُس پہ قربان ’’عید‘‘ ہوتی ہے
Jis ko Aaqa ki deed hoti hai
Us pe qurban "Eid" hoti hai
عید تجھ کو مبارَک اے صائِم!
روزہ داروں کی عید ہوتی ہے
Eid tuj ko mubarak ae Saaim!
Roza Daaro ki Eid hoti hai
روزہ خورو! خدا کی ناراضی
سن لو! تم پر شدید ہوتی ہے
Roza khoro! Khuda ki narazi
Sun lo! Tum par shadeed hoti hai
تیری شیطان! ماہِ رَمضاں میں
کیسی مِٹّی پلید ہوتی ہے
Teri Shetan! Mah-e-Ramzan mein
Kaisi mitti paleed hoti hai
روزہ داروں کے واسطے وَاللہ
مغفِرت کی نَوِید ہوتی ہے
Roza Daaro ke wastay wallah
Maghfirat ki naveed hoti hai
عید کے دن عمر یہ رو رو کر
بولے،’’نیکوں کی عید ہوتی ہے‘‘
Eid ke din Umar ye ro ro kar
Bole,"Nekon ki Eid hoti hai"
جو کوئی رب کو کرتے ہیں ناراض
اُن سے رحمت بعید ہوتی ہے
Jo koi Rab ko karte hain naraz
Un se Rehmat ba'eed hoti hai
فِلم بِینوں کے حق میں سن لو یہ
عید، یومِ وعید ہوتی ہے
Film beeno ke Haq mein sun lo ye
Eid, Youm-e-Waeed hoti hai
بے نمازوں کی روزہ خوروں کی
کون کہتا ہے عید ہوتی ہے!
Be-namazo ki roza koro ki
Kon kehta hai Eid hoti hai!
جس کو آقا مدینے بُلوائیں
اُس مسلماں کی عید ہوتی ہے
Jis ko Aaqa Madine bulwawain
Us Musalmaan ki Eid hoti hai
مجھ کو ’’عیدی‘‘ میں دو بقیع آقا
جانے کب میری عید ہوتی ہے!
Mujh ko "Eidi" mein do Baqi Aaqa
Jane kab meri Eid hoti hai!
جو بچھڑ جائے ان کی گلیوں سے
کیا بھلا اُس کی عید ہوتی ہے!
Jo bichhad jaye un ki galiyon se
Kya bhala us ki Eid hoti hai!
عید عطارؔ اُس کی ہے جس کو
خواب میں ان کی دید ہوتی ہے
Eid Attar us ki hai jis ko
Khawab mein un ki deed hoti hai
Share This Naat
Share with friends and family
بعدِ رَمضان عید ہوتی ہے
الیاس عطار قادری