انوار برستے رہتے ہیں اُس پاک نگر کی راہوں میں
اِک کیف کا عالم ہوتا ہے طیبٰہ کی مَست ہواؤں میں
Anwar baraste rehte hain us paak nagar ki raahon mein
Ikk kaif ka aalam hota hai Taybah ki mast hawaon mein
اِس نامِ محمدؐ کے صدقے بگڑی ہوئی قِسمت بنتی ہے
اُس کو بھی پناہ مِل جاتی ہے جو ڈوب گیا ہو گناہوں میں
Is naam-e Muhammadؐ ke sadqe bigri hui qismat banti hai
Us ko bhi panah mil jaati hai jo doob gaya ho gunahon mein
گیسوئے محمدؐ کی خُو شبُو اللہ اللہ کیا خُو شبُو ہے !
احساس مُعطّر ہوتا ہے وا للّیل کی مہکی چھاؤں میں !
Gesoo-e Muhammadؐ ki khushboo Allah Allah kya khushboo hai!
Ehsaas muattar hota hai wa lill ki mehki chhaon mein!
وہ بانئ دین مبین بھی ہے حٰمؔ بھی ہے یٰسن بھی ہے
مسکینوں میں مسکین بھی ہے سُلطانِ زمانہ شاہوں میں
Woh baane deen mubeen bhi hai Haam bhi hai Yaaseen bhi hai
Maskeenon mein maskeen bhi hai Sultan-e zamana shahoon mein
سب جلوے ہیں اِس صورت کے ‘ وہ صورت ہی وجہُ اللہ ہے
اللہ نظر آجا تا ہے وہ صُورت جب ہو نگاہوں میں !
Sab jalwe hain is soorat ke ' woh soorat hi wajhu Allah hai
Allah nazar aa jaataa hai woh soorat jab ho nigahon mein!
اللہ کی رحمت کے جلوے اِس وقت میّسر ہوتے ہیں
سجدے میں ہوں جب آنکھیں پُر نم اور نامِ مُحمّد ؐ آہوں میں
Allah ki rehmat ke jalwe is waqt moissa hotay hain
Sajde mein hon jab aankhen purnam aur naam-e Muhammadؐ aahon mein
اُس ناطِقِ قرآن کی مدحت انسان کے بس کی بات نہیں
ممدوح خُدا ہیں وہ واصِفؔ صد شکر کہ ہم ہیں گداؤں میں
Us naatiq-e Quran ki madhat insaan ke bus ki baat nahin
Mamdoh Khuda hain woh Wasif صد شکر ke hum hain gadaon mein
Share This Naat
Share with friends and family
انوار برستے رہتے ہیں اُس پاک نگر کی راہوں میں
واصف علی واصف