آفاق میں جو سب سے بھلی در کی عطا ہے
وہ سرورِؐ کونین کے ہی در کی عطا ہے
Aafaq mein jo sab se bhali dar ki ata hai
Woh Sarwar-eؐ kaunain ke hi dar ki ata hai
دروازے مقدّر کے اسی در سے ہیں کھلتے
خوش بخت ہے وہ جس پہ ہوئی در کی عطا ہے
Darwaze Muqaddar ke isi dar se hain khulte
Khush bakht hai woh jis pe hui dar ki ata hai
ہر ظلمتِ غم دُور ہے تقدیر سے ہوتی
انوار کی رم جھم سے بھری در کی عطا ہے
Har zulmat-e gham door hai taqdeer se hoti
Anwar ki rimjhim se bhari dar ki ata hai
اندیشہ نہ تشویشِ مہ و سال ہے ان کو
وہ جن پہ مسلسل ہی رہی در کی عطا ہے
Andesha na tashweesh-e meh o saal hai un ko
Woh jin pe musalsal hi rahi dar ki ata hai
سرکارؐ کے روضے پہ شب و روز ہے کرتی
آلامِ زمانہ سے بری در کی عطا ہے
Sarkarؐ ke roza pe shab o roz hai karti
Aalaam-e zamana se bari dar ki ata hai
ہے مجھ کو قصیدے کی نگارش بھی عطا کی
’’مدحت کا قرینہ بھی اسی در کی عطا ہے‘‘
Hai mujh ko qaseede ki nigaarish bhi ata ki
’’Midhat ka qareena bhi isi dar ki ata hai‘‘
خوشبوئے محبت سے نوازا مجھے طاہرؔ
نکہت سے گلابوں کے بھری در کی عطا ہے
Khushboo-e mohabbat se nawaza mujhe Tahirؔ
Nekhat se gulabon ke bhari dar ki ata hai
Share This Naat
Share with friends and family
آفاق میں جو سب سے بھلی در کی عطا ہے
پروفیسر محمد طاہر صدیقی