Loading...
naat

وجد میں دل ہے روح پہ مستی طاری ہے

وجد میں دل ہے روح پہ مستی طاری ہے یادوں میں سرکار کی صورت پیاری ہے
Wajd mein dil hai rooh pe masti taari hai Yaadon mein sarkar ki soorat pyari hai
رہتا ہوں ہر وقت خیالوں میں ان کے لطف و کرم سرکار کا مجھ پر جاری ہے
Rehta hoon har waqt khayalon mein un ke Lutf o karam sarkar ka mujh par jari hai
شافعِ محشر سے امید ہے شفقت کی سر پہ گناہ کا بوجھ اگرچہ بھاری ہے
Shafi-e-mahshar se umeed hai shafqat ki Sar pe gunah ka bojh agarche bhari hai
نیک اعمال نہیں ہیں میرے پاس، مگر نعت کی چند کتابیں کار گزاری ہے
Naik aamaal nahi hain mere paas, magar Naat ki chand kitaabein kaar guzari hai
دکھ مجھ سے کترا کے گزرتے ہیں، جب سے مجھ کو غلامی کی حاصل سر شاری ہے
Dukh mujh se katra ke guzarte hain, jab se Mujh ko ghulami ki haasil sar shaari hai
روئے منور کا جلوہ دکھلا دیجے اپنے غلام سے کیسی پردہ داری ہے
Roye munawwar ka jalwa dikhla dije Apne ghulam se kaisi parda daari hai
آلِ نبی کی الفت رکھنا سینے میں آلِ نبی کی جنت میں سرداری ہے
Aal-e-Nabi ki ulfat rakhna seene mein Aal-e-Nabi ki jannat mein sardaari hai
ایک جھلک اشفاقؔ عنایت ہو جائے ہجر کی رت نے وصل کی عرض گزاری ہے
Ek jhalak Ashfaq inayat ho jaye Hijr ki rut ne wasl ki arz guzari hai

Share This Naat

Share with friends and family

Noor-e-Sukhan

وجد میں دل ہے روح پہ مستی طاری ہے

اشفاق احمد غوری