پرچمِ حمد اڑاتا ہوں میں
روح کو وجد میں پاتا ہوں میں
Porcham-e-Hamd uRata hoon main
Rooh ko wajd mein paata hoon main
صبحدم پڑھتا ہوں قرآنِ مجید
گیت خلآق کے گاتا ہوں میں
Sabahdam paRhata hoon Qur'an-e-Majeed
Geet Khallaq ke gaata hoon main
اس کی آیات سے کرنیں لے کر
اپنے آفاق سجاتا ہوں میں
Us ki Aayaat se kiranain le kar
Apne aaafaaq sajaata hoon main
تازہ کاری کا عمل دیکھتا ہوں
جس طرف آنکھ اٹھاتا ہوں میں
Taaza kaari ka amal dekhta hoon
Jis taraf aankh uRhaata hoon main
نیّتوں کی جو خبر رکھتا ہے
اس کو احوال سناتا ہوں میں
Niyyaton ki jo khabar rakhta hai
Us ko ahwaal sunaata hoon main
جب بھی تاریکیاں گھیریں تائب
مشعلِ ذکر جلاتا ہوں میں
Jab bhi taarikiyaan ghirain Taaib
Mash'al-e-Zikr jalaata hoon main
Share This Naat
Share with friends and family
پرچمِ حمد اڑاتا ہوں میں
حفیظ تائب