جو نبی کا غلام ہوتا ہے
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo Nabi ka ghulaam hota hai
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جو کہ خوفِ خدا سے روتا ہو
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo ke Khauf-e-Khuda se rota ho
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جو غمِ مصطَفٰے میں روتا ہو
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo gham-e-Mustafa mein rota ho
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جو بُرے خاتمے سے ڈرتا ہو
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo bure khatime se dartah ho
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جودے نیکی کی دعوت اے بھائی
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo de neki ki dawat ay bhai
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جو بھی اپنائے ’’مَدنی اِنعامات‘‘
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo bhi apnaaye "Madani In'amaat"
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جو بھی ہے ’’قافِلوں‘‘ کا شَیدائی
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo bhi hai "Qaafilon" ka shaidai
Qaabil-e-ehteraam hota hai
جو بھی رہتا ہے ’’مَدنی حُلیے‘‘ میں
قابلِ احترام ہوتا ہے
Jo bhi rehta hai "Madani Hulye" mein
Qaabil-e-ehteraam hota hai
سنّتیں اُن کی جو بھی اپنائے
حشر میں شاد کام ہوتا ہے
Sunnatein unki jo bhi apnaaye
Hashr mein shaad kaam hota hai
درسِ فیضانِ سنّت اے بھائی
گھر میں دینے سے کام ہوتا ہے
Dars-e-Faizan-e-Sunnat ay bhai
Ghar mein dene se kaam hota hai
بِھیڑ میں جیسے حجَرِ اَسوَد کا
دُور سے اِستِلام ہوتا ہے
Bheer mein jaise Hajar-e-Aswad ka
Door se istilaam hota hai
یوں ہی عُشّاق کا وطن رہ کر
’’دُور سے بھی سلام ہوتا ہے‘‘
Youn hi ushshaaq ka watan reh kar
"Door se bhi salaam hota hai"
ہائے دُوری کو ہو گیا عرصہ
کب یہ حاضِر غلام ہوتا ہے
Hai duri ko ho gaya arsa
Kab yeh haazir ghulaam hota hai
کب مدینے میں حاضِری ہو گی
جانے کب میرا کام ہوتا ہے
Kab Madine mein haaziri ho gi
Jaane kab mera kaam hota hai
یا نبی یہ غلام کب حاضِر
بہرِ عرضِ سلام ہوتا ہے
Ya Nabi yeh ghulaam kab haazir
Bahr-e-ard-e-salaam hota hai
جو مدینے کے غم میں روئے وہ
حشر میں شاد کام ہوتا ہے
Jo Madine ke gham mein roye woh
Hashr mein shaad kaam hota hai
جو دُرُود و سلام پڑھتے ہیں
اُن پہ رب کا سلام ہوتا ہے
Jo durood-o-salaam padhtay hain
Un pe Rab ka salaam hota hai
کیا دبے دُشمنوں سے وہ ،حامی
جس کا خیرُ الانام ہوتا ہے
Kya dabe dushmanon se woh, haami
Jis ka Khair-ul-Anam hota hai
آزمائِش ہے اُس کی دُنیا میں
جو یہاں نیک نام ہوتا ہے
Aazmaish hai us ki duniya mein
Jo yahaan nek naam hota hai
جو ہو اللہ کا ولی اُس کا
فیض دنیا میں عام ہوتا ہے
Jo ho Allah ka wali uska
Faiz duniya mein aam hota hai
جی لگانے کی جا نہیں دنیا
کس کو حاصِل دَوام ہوتا ہے
Ji lagaane ki ja nahin duniya
Kis ko haasil dawaam hota hai
دارِفانی میں خوش رہے کیسے!
جس کا مُردوں میں نام ہوتا ہے
Daar-e-fani mein khush rahe kaise!
Jis ka murdon mein naam hota hai
موت ایماں پہ آتی ہے جس پر
فضلِ ربُّ الانام ہوتا ہے
Maut imaan pe aati hai jis par
Fadl-e-Rab-ul-Anam hota hai
قبر روشن اُسی کی ہو جس پر
فضلِ ربُّ الانام ہوتا ہے
Qabr roshan usi ki ho jis par
Fadl-e-Rab-ul-Anam hota hai
بے سبب بخشِش اُس کی ہوجس پر
فضلِ ربُّ الاَنام ہوتا ہے
Be sabab baksish us ki ho jis par
Fadl-e-Rab-ul-Anam hota hai
بختور ہے مدینے میں جس کی
عُمر کا اختتام ہوتا ہے
Bakhtoor hai Madine mein jis ki
Umar ka ikhtitaam hota hai
جس سے وہ خوش ہوں حشرمیں حاصل
اُس کو کوثر کا جام ہوتا ہے
Jis se woh khush hon hashr mein haasil
Us ko Kauser ka jaam hota hai
دیکھو عطارؔ کب مِرا طیبہ
جانے والوں میں نام ہوتا ہے
Dekho Attar kab mera Tayba
Jaane walon mein naam hota hai
Share This Naat
Share with friends and family
جو نبی کا غلام ہوتا ہے
الیاس عطار قادری