اس کو ہے دو جہان کی راحت ملی ہوئی
جس کو ہے میرے شاہ کی چاہت ملی ہوئی
Is ko hai do jahan ki rahat mili hui
Jis ko hai mere shah ki chahat mili hui
ان کو قسم خدا کی ہے جنت ملی ہوئی
جن کو شہِ امم کی ہے قربت ملی ہوئی
Un ko qasam khuda ki hai jannat mili hui
Jin ko sheh-e-umm ki hai qurbat mili hui
جو آلِ مصطفی کو ہے عظمت ملی ہوئی
وہ اور بھی کسی کو ہے رفعت ملی ہوئی؟
Jo aal-e-Mustafa ko hai azmat mili hui
Woh aur bhi kisi ko hai rufat mili hui?
ہیں بادشاہ دیکھ کے حیرت سے دم بخود
ان کے فقیر کو ہے وہ عزت ملی ہوئی
Hain badshah dekh ke herat se dam bakhud
Un ke faqeer ko hai woh izzat mili hui
میں بھی تو ہوں غلام دیارِ حبیب کا
میری بھی ہے حضور سے نسبت ملی ہوئی
Main bhi to hoon ghulam dayar-e-Habib ka
Meri bhi hai Huzoor se nisbat mili hui
آتی ہے روز چوم کے روضہ حضور کا
بادِ صبا کو خوب ہے قسمت ملی ہوئی
Aati hai roz choom ke rozah Huzoor ka
Baad-e-saba ko khoob hai qismat mili hui
ہوتی ہے صِرف ان کی مدینے میں حاضری
جن کو حضور سے ہو اجازت ملی ہوئی
Hoti hai sirf un ki madine mein hazri
Jin ko Huzoor se ho ijaazat mili hui
ہوتی ہے صَرف مدحِ خدا و رسول میں
آصف مجھے ہے جتنی بھی طاقت ملی ہوئی
Hoti hai sarf madh-e-khuda wa Rasool mein
Aasif mujhe hai jitni bhi taqat mili hui
Share This Naat
Share with friends and family
اس کو ہے دو جہان کی راحت ملی ہوئی
محمد آصف قادری