ہوئی ہیں مستجاب دعائیں کبھی کبھی
چلتی ہیں رحمتوں کی ہوائیں کبھی کبھی
Hui hain mustajaab duaain kabhi kabhi
Chalti hain rehmaton ki huaain kabhi kabhi
اشکوں کی روشنی میں کریں ذکر مصطفیٰ
پلکوں پہ یہ دیے بھی جلائیں کبھی کبھی
Ashkon ki roshni mein karein zikr Mustafa
Palkon pe ye diye bhi jalayein kabhi kabhi
آئے نظر وہ خواب میں تو نیند کھل گئی
قسمت نے دی ہیں یوں بھی سزائیں کبھی کبھی
Aaye nazar woh khwab mein to neend khul gayi
Qismat ne di hain yun bhi sazaain kabhi kabhi
اٹھے جدھر نگاہ تو ہوں سامنے حضور
یہ کیوں کہیں کہ جلوہ دکھائیں کبھی کبھی
Uthe jidhar nigah to hon samne Huzoor
Ye kyun kaheing ke jalwa dikhayen kabhi kabhi
آنسو نبی نعت پڑھیں ہر نفس درود
ایسے بھی ان کی بزم سجائیں کبھی کبھی
Aansoo Nabi naat padhein har nafas durood
Aise bhi un ki bazm sajayein kabhi kabhi
ملتا ہے بے سبب کبھی طیبہ کا اذن بھی
ہوتی ہیں اس طرح بھی عطائیں کبھی کبھی
Milta hai be sabab kabhi Tayyaba ka izin bhi
Hoti hain is tarah bhi ataain kabhi kabhi
کتنا بڑا کرم ہے یہ یاد حضور کا
آتی ہیں ان کی دل سے صدائیں کبھی کبھی
Kitna bara karam hai ye yaad Huzoor ka
Aati hain un ki dil se sadaain kabhi kabhi
چھینٹا کرم کا کوئی نیازی یہ بھی حضور
بادل کرم کے جھوم کر آئیں کبھی کبھی
Cheenta karam ka koi Niazi ye bhi Huzoor
Badal karam ke jhoom kar aayein kabhi kabhi
Share This Naat
Share with friends and family
ہوئی ہیں مستجاب دعائیں کبھی کبھی
عبدالستار نیازی