ہوا اُن کے کرم کی یوں چلی ہے
فضائے دل بہت مہکی ہوئی ہے
Hua un ke karam ki yun chali hai
Fizaye dil bohot mehki hui hai
مرے خواجہ سے جس کو بھی ہے نسبت
بھلا کس چیز کی اس کو کمی ہے
Mere khawaja se jis ko bhi hai nisbat
Bhala kis cheez ki us ko kami hai
نہ کیونکر ہو وہاں اللہ کی رحمت
جہاں خواجہ تری محفل سجی ہے
Na kyun kar ho wahan Allah ki rehmat
Jahan khawaja teri mehfil saji hai
نگاہوں میں جچے کیا شان شاہی
فقیروں سے ہماری دوستی ہے
Nigaahon mein jache kya shaan shahi
Faqeeron se hamari dosti hai
لکھا ہو جس جبیں پہ نام تیرا
وہ کب غیروں کی چوکھٹ پر جھکی ہے
Likha ho jis jabeen pe naam tera
Woh kab ghairon ki chaukhat par jhuki hai
رضا جس میں تری ہے وہ رضا ہے
خوشی خواجہ تری میری خوشی ہے
Raza jis mein teri hai woh raza hai
Khushi khawaja teri meri khushi hai
جو اپنے شیخ کی الفت میں گذرے
وہی تو در حقیقت زندگی ہے
Jo apne sheikh ki ulfat mein guzre
Wohi to dar haqeeqat zindagi hai
روایت ہے مرے خواجہ کے گھر کی
سخاوت کی ہے اور جی بھر کے کی ہے
Rawayat hai mere khawaja ke ghar ki
Sakhawat ki hai aur ji bhar ke ki hai
مریض شام غم در پر جو آیا
دوا دے کر دعا بھی خوب کی ہے
Mareez shaam gham dar par jo aya
Dawa de kar dua bhi khoob ki hai
جچا ہے کب مری نظروں میں کوئی
مری جس دن سے خواجہ سے لگی ہے
Jacha hai kab meri nazron mein koi
Meri jis din se khawaja se lagi hai
میں جتنی بار بھی در پر گیا ہوں
مرادوں سے مری جھولی بھری ہے
Main jitni baar bhi dar par gaya hoon
Muradon se meri jhooli bhari hai
رہے جاری ہمیشہ فیض اُن کا
دعا میری نیازی اب یہی ہے
Rahe jari hamesha faiz un ka
Dua meri Niazi ab yehi hai
Share This Naat
Share with friends and family
ہوا اُن کے کرم کی یوں چلی ہے
عبدالستار نیازی