باعث کون و مکاں زینت ِ قرآں یہ نام
ابرِ رحمت ہے جو کونین پہ چھا جاتا ہے
Bais kon o makaan zeenat-e-quran ye naam
Abr-e-rehmat hai jo konain pe chha jata hai
Dardmando ke liye dard ka darmann ye naam
Lauh-e-jaan par bhi yehi naqsh nazar aata hai
دردمندوں کے لیے درد کا درماں یہ نام
لوحِ جاں پر بھی یہی نقش نظر آیا ہے
Ek yehi naam to hai wajah-e-sukoon wajah-e-qaraar
Ek yehi naam ke jalte huye mausam mein amaan
Hai isi naam ki tasbeeh farishton ka shiaar
Fakhr karti hai isi naam pe nasl-e-insaan
اک یہی نام تو ہے وجہِ سکوں وجہِ قرار
اک یہی نام کہ جلتے ہوئے موسم میں اماں
Hai yehi naam to meri shab-e-yalda ki seher
Jism o jaan mein jo charaghaan hai isi naam ka hai
Bas isi naam ki khushboo hai mere honto par
Bas yehi naam do aalam mein bare kaam ka hai
ہے اسی نام کی تسبیح فرشتوں کا شعار
فخر کرتی ہے اسی نام پہ نسلِ انساں
Itr asoodah faza aur fazaon mein durood
Khushboo-e-ism-e-Muhammad ki hadein la mehdood
ہے یہی نام تو میری شبِ یلدا کی سحر
جسم و جاں میں جو چراغاں ہے اسی نام کا ہے
بس اسی نام کی خوشبو ہے مرے ہونٹوں پر
بس یہی نام دو عالم میں بڑے کام کا ہے
عطر آسودہ فضا اور فضاؤں میں درود
خوشبوئے اسمِ محمد کی حدیں لا محدود
Share This Naat
Share with friends and family
باعث کون و مکاں زینت ِ قرآں یہ نام
سید صبیح الدین صبیح رحمانی